Dukh Bhari Shayari expresses those deep emotions that are hard to put into words. When life becomes filled with pain and loneliness, Dard Bhari Shayari and Gam Bhari Shayari help lighten the heart. These words are not just poetry; they are the silent cries of broken hearts. On this page, you will find heartfelt Emotional Shayari and the finest Sad Poetry filled with endless sorrow.
Heart Touching Dard Bhari & Dukh Bhari Shayari

Eik Main Hoon Kay Lehroon Ki Tarhan Chain Nahi Hai,
Aik Woh Hai K Khamosh Samandar Ki Tarhan Hai.

Gham ki baarish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahi,
Tu ne mujh ko kho diya, main ne tujhe khoya nahi.

Dard Hi Sahi Mere Ishq Ka Inaam To Aaya;
Khali Hi Sahi Hathon Mein Jaam To Aaya;
Main Hoon Bewaafa Sabko Bataya Usne;
Yun Hi Sahi Uske Labon Pe Mera Naam To Aaya!

Aapko Bhule Vo Nazar Kaha Se Layein;
Kisi Aur Ko Chahe Vo Jigar Kaha Se Layein;
Reh Nahi Sakte Aapke Bina;
Uff Bhi Na Nikle Vo Zehar Kaha Se Layein!

Aasuoo Ko Palko Me Laya Na Kijiye;
Dil Ke Baat Har Kisse Ko Bataya Na Kijye;
Mutthe Me Namak Lekar Gumte Hai Log;
Aapne Zhkhame Har Kise Ko Dikhaya Na Kijye!
Dukh Dard Bhari Shayari in English

Dard De Gaye Sitam Bhi De Gaye;
Zakhm Ke Sath Marham Bhi De Gaye;
Do Lafzo Se Kar Gaye Apna Mann Halka;
Aur Humein Kabi Na Rone Ki Kasam De Gaye!

Mujhe udaas dekhkar usne kaha,
Mere hote hue tumhe koi dukh nhi de skta;
Phir aisa hi hua zindgi mein;
Jitne dukh mile sab usi ne diye.

Aye dil tu kyu rota hai use yaad karke,
Wo to chale gaye tujhe barbaad karke,
Ab wo tere nahi kisi aur ke hai,
Kya milega unke dar per baar-baar fariyad karke.

Jis Par Naaz Tha Mujhe Khud Se bhi Zyada,
Wo Mera Pyaar Aaj Afsana Sa Ho Gaya,
Teri Yaadon Ko Is Tarah Kaid Kiya Khud Mein,
Dil, mera Dil Nahi Raha Ek kaidkhana Sa Ho Gaya.

Teri aarzo mein deewana ho gaye,
Tujhe apna banate-banate begane ho gaye,
Kar le ek baar yaad dil se mujhe,
Tere dil ki awaaz sune zamane ho gaye.
Heart Touching Gam Bhari Shayari

Na jeene ki khushi na marne ka gham,
Unse milne ki dua bhi nahin karte hum,
Jeete hain isliye ke shayad woh ek din aayenge,
Marte isliye nahin ki wo akele reh jaayenge.

Gham is kadar mila ki ghabra ke pee gaye,
Khushi thodi si mili to mila ke pee gaye,
Yun to naa thi janam se peene ki aadat,
Sharab ko tanha dekha to taras khaa ke pee gaye.

Apne Dil Ke Gham Ab Kisko Sunayein Hum,
Aapke Baad Ab Paas Kisko Bithayein Hum,
Bin Aapke Toh Ab Ek Bhi Pal Nahi Katata,
Padi Hai Saari Umar Bataao Kaise Bitayein Hum.

Mahfil Lagi Thi Ek Dusre Ko Gham Sunaane Ki,
Toh Sabhi Apne Apne Gham Sunane Lage
Jab Hamne Shuru Kiye Sunane Eh Yarab,
Na Jaane Kyun Sabhi Mahfil Se Jaaane Lage.

Jitne Bhi Dena Chaho Gham De Do Mujhko Yaaro,
Ab Toh Do Char Lamhon Ka Bas Mehman Hun Main,
Main Apne Kiye Waade Nibha Paya Na Kabhi,
Bas Ek Isi Baat Se Ab Tak Pareshan Hun Main.
Conclusion
When life becomes heavy with sorrow and loneliness, Dukh Bhari Shayari becomes a beautiful way to lighten the heart. These words understand your emotions and express the hidden pain deep inside. And if you want to read more heartfelt and soul-touching shayaris, be sure to visit our more related Sad Shayari category.
If you want to read more Shayaris visit our Sad Shayari website.